::Guestpages Pakistan::
::Guestpages Pakistan::
::Guestpages Pakistan::
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

This Page Only For Entertainment Guys .
 
HomeSearchRegisterLatest imagesLog in

 

 40 Ahadees-e-Mubarak

Go down 
AuthorMessage
admin
Admin
Admin
admin


Male
Number of posts : 226
Age : 36
Location : Pakistan Multan
Registration date : 2007-09-17

40 Ahadees-e-Mubarak Empty
PostSubject: 40 Ahadees-e-Mubarak   40 Ahadees-e-Mubarak Icon_minipostedSun Sep 07, 2008 7:44 am

Rasool Allah Salallaho Alaihwasallam ne farmaya hay ke jo shaks meri ummat ke faiday ke waastay deen ke kaam ki 40 Hadeesein suna de ga or Hifz kare ga Allah Tala us ko Qayamat ke din Aalimun Shaheedun ki jamat mein uthaye ga or farmaye ga ke jis darwaaze se chaho Jannat mein daakhil hojao (Al-Hadees)_____________________________________________________
1.Saaray Amaal Niyat Se Hein (Hadees) - yaani achi niyat se achay or buri niyat se buray hojate hein
2.Musalman Ke Musalman Per 5 Haq Hein (1) Salaam Ka Jawab Dena (2) Mareez Ki Mizaaj Pursi Karna (3) Janazay Ke Saath Jana (4) Us Ki Dawat Ko Qabool Karna (5) Cheenk ka Jawab " Yar Hamo-qallah " Keh Kar Dena (Hadees)
3.Allah Tala Us Shaks Per Reham Nahi Karta Jo Logun Per Reham Nahi Karta (Hadees)
4.Chughal Khor Jannat Mein Na Jayega (Hadees)
5.Rishta Qata Karne Wala Jannat Mein Na Jayega (Hadees)
6.Zulm Qayamat Ke Roz Andhairun Ki Soorat Mein Hoga (Hadees)
7.Takhno Ka Jo Hissa Pajamay Ke Neechay Rahe Ga Wo Jahanum Mein Jayega (Hadees)
8.Musalman Tu Wohi Hay Jis Ki Zubaan Or Haath Ki Eeza Se Musalman Mehfooz Rahein (Hadees)
9.Jo Shaks Narm Aadat Se Mehroom Raha Wo Bhalaai Se Mehroom Raha (Hadees)
10.Pehailwaan Wo Shaks Nahi Jo Logun Ko Pachaar Day Balke Pehailwaan Wohi Shaks Hay Jo Ghussay Ke Waqt Apne Nafs Per Qaabo Rakhe (Hadees)
11.Jab Tum Haya Na Karo Tu Jo Chahay Karo (Hadees) -yaani jab haya hi nahi tu saari buraiyan Barabar hein
12.Allah Ke Nazdeek Sab Amlun Mein Wo Ziyada Mehboob Hay Jo Daimi Ho Agar Chay Thora Ho (Hadees)
13.Us Ghar Mein Rehmat Ke Farishtay Nahi Aate Jis Mein Kutta Ya Tasveerein Hun (Hadees)
14.Tum Mein Se Wo Shakas Mere Nazdeek Mehboob Hay Jo Ziyada Khaleeq Ho (Hadees)
15.Duniya Musalman Ke Liye Qaid Khana Or Kafir Ke Liye Jannat Hay (Hadees)
16.Musalman Ke Liye Halaal Nahi Ke 3 Din Se Ziyada Apne Musalman Bhai Say Qata Talluq Rakhay (Hadees)
17.Insaan Ko Aik Hi Sooraakh Se 2 Martaba Nahi Dassa Ja Sakta (Hadees) - yaani jis se 1 martaba nuqsaan Pohanchta hay phir dobara us ke paas nahi jata
18.Haqeeqi Ghinna, Dil Ka Ghinna Hota Hay (Hadees)
19.Duniya Mein Aisay Raho Jaise Koi Musafir Ya Rah Guzar Rehta Hay (Hadees) - yaani ziyada thaat na banao
20.Insaan Ke Jhoota Hone Ke Liye Itna Hi Kaafi Hay Ke Jo Baat Sune (Baghair Tehqeeq Ke) Logun Se Bayan Karna Shuroo Karde (Hadees)
21.Aadmi Ka Cha Cha Us Ke Baap Ki Maanind Hay (Hadees)
22.Jo Kissi Musalman Ke Aib Chupaye Ga, Allah Tala Qayamat Ke Din Us Ke Aib Chupaye Ga (Hadees)
23.Wo Shaks Qamiyaab Hay Jo Islam Laya Or Jis Ko Ba-Qadr-e-Kifaalat Rizq Mil Gaya Or Allah Tala Ne Us Ko Apni Rozi Per Qannaat Day Di (Hadees)
24.Sab Se Ziyada Shakt Azaab Mein Qayamat Ke Roz Tasveer Bana Ne Walay Hongay (Hadees)
25.Musalman, Musalman Ka Bhai Hay (Hadees)
26.Koi Banda Us Waqt Tak Poora Musalman Nahi Ho Sakta Jab Tak Apne Bhai Ke Liye Wohi Pasand Na Kare Jo Apne Liye Pasand Karta Hay (Hadees)
27.Wo Shaks Jannat Mein Na Jaye Ga Jis Ka Parosi Us Ki Eezaaun Se Mehfooz Na Rahe (Hadees)
28.Mein Akhri Paighamber Hun, Mere Baad Koi Nabi Paida Na Hoga (Hadees)
29.Apas Mein Qata Talluq Na Karo Or Aik Doosray Ke Dar Pay Na Ho Or Apas Mein Bughz Na Rakho Or Hasad Na Rakho Or Aye Allah Ke Bando Sab Bhai Ho Kar Raho (Hadees)
30.Islam Un Tamam Gunahun Ko Dhaa Day Ta Hay Jo Pehlay Kiye Thay Or Hijrat Or Hajj Un Tamam Gunahun Ko Dhaa Dayte Hein Jo Is Se Pehlay Kiye Thay (Hadees)
31.Kabeera Gunah Allah Tala Ke Saath Kisi Ko Shareek Thairana Or Walidain Ki Na Farmani Karna Or Kisi Be-Gunah Ko Qatal Karna Or Jhooti Shahadat Dena Hein (Hadees)
32.Jo Shaks Kisi Musalman Ko Dunyavi Museebat Se Churaye Allah Tala Us Ko Qayamat Ki Museebatun Se Churaye Ga Or Jo Shaks Kisi Muflis Ghareeb Per (Maamla Mein) Aasani Kare Allah Tala Us Per Duniya-o-Aakhirat Mein Aasani Kare Or Jo Shaks Kisi Musalman Ki Parda Poshi Kare Ga Allah Tala Us Ki Parda Poshi Kare Ga, Or Jab Tak Banda Apne Musalman Bhai Ki Madad Mein Laga Rehta Hay Allah Tala Us Ki Madad Mein Laga Rehta Hay (Hadees)
33.Allah Ke Nazdeek Sab se Ziyada Maghbooz Jhagraloo Aadmi Hay (Hadees)
34.Har Aik Biddatt Gumrahi Hay (Hadees) - yaani deen mein nai baat nikalana
35.Paak Rehna Adha Eemaan Hay (Hadees)
36.Allah Ke Nazdeek Sab Se Ziyada Mehboob Jagah Masjidein Hein (Hadees)
37.Qabrun Ko Sijda Gah Na Banao (Hadees)
38.Namaz Mein Apni Saffoun Ko Seedha Karo Warna Allah Tala Tumharay Quloob Mein Ikhtelaaf Daal De Ga (Hadees)
39.Jo Mujh Per Aik Martaba Durood Bhaijta Hay Allah Tala Us Per 10 Martaba Rehmat Bhaijta Hay (Hadees)
40.Sab Aamaal Ka Aitebar Khatima Per Hay (Hadees)
Back to top Go down
 
40 Ahadees-e-Mubarak
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
::Guestpages Pakistan:: :: Religions :: Islam-
Jump to: